Singer | QK & UK Rapi Boy |
Music | QK |
Chitthi Lyrics
Chitthee chitthee
Hawaaon Se Joh Aayi Hai, Laayi Hai
Kayi Baatein Joh Thi Raaz Si
Laazmi, Ehsaas Hai
Oh Ho
Chitthee chitthee
Hawaaon Se Joh Aayi Hai, Laayi Hai
Ehsaas Hain Joh Aaj Bhi
Aazmi, Alfaaz Hai
Suno, Tum Kaisi Ho?
Kya Aaj Bhi Tum Chand Dekh Ke
Raat Ko Yoon Roti Ho
Kya Aaj Bhi Tum Shaam Dekh
Diary Mein Shayari Pe Shayari Ke
Daayre Piroti Ho
Aaika! Mi Chhaan
Tum Kaise Ho Sangaal
Na Main Na Roti
Kyunki Bheja Inn Hawaaon Ko Hai Tumne
Ponchne Mere Yeh Geele Gaalon Ko
Toh Yaad Jugnuon Ki Tarah
Jal Rahi Hain Seene Mein Bas
Sharam Se Hoon Laal
Besharm Hai Yeh Kaagaz
Mehar Khat Padh Bai
Woh Muskurandi Holi
Sharam Se Aayi Uske
Gaalon Pe Bhi Laali Hogi
Maine Likha Hai Uske Liye
Kuch Haseen Sunke
Ek Ungli Daanton Ke Beech
Sune Dabaa Li Hogi
Kya Tu Bhi Honthon Se
Lagata Mere Khat?
Behad Bebas Kya
Tu Jaise Mere Lafz
Bekhauf Yeh Nazm
Let Jaate Mere Panno Par
Yaad Kar Ke Jab Thi
Teri Saansein Baithi Labon Par
Chitthee chitthee
Hawaaon Se Joh Aayi Hai, Laayi Hai
Kayi Baate Joh Thi Raaz Si
Laazmi, Ehsaas Hai
Oh Ho
Chitthee chitthee
Hawaaon Se Joh Aayi Hai, Laayi Hai
Ehsaas Hain Joh Aaj Bhi
Aazmi, Alfaaz Hain
Bolne Ke Liye Kaafi Saari
Baatein Reh Gayi
Tu Joh Chali Gayi Toh Bas
Teri Yaadein Reh Gayi
Inn Pahadon Mein
Khoobsurati Rahi Kahan
Jitni Bhi Thi Woh Saari
Teri Aankhein Le Gayi
Sitaare Kehte Ke Tu Chaand Se Na
Baatein Kar Humdard Ki
Ke Dard Mein Hee Chhip
Woh Jaaye Baadalon Ki
Chaadaron Mein
Tera Mera Pyaar Hain Na
Maan Ne Ko Yeh Zameen
Aa Yaqeen Dila Isey Ya
Bas Miloge Kaagazon Mein
Tu Aake Pooch Mere Saathiyon Se,
Waadiyon Se
Daakiye Se Ishq Ka Pata
Hain Mera Haan
Ki Chitthee Aane Tak Main
Raat Choomta Hoon
Tujhko Hee Main Dhoonta Hoon
Jab Subah Lage Gale Se Mere
Tu Koi Aayat , Kimaayat, Bidaayat
Hinaayat, Inaayat, Ya Aadat Joh
Chhoote Nahi
Ishq Gaayat, Rivaayat, Saraayat
Hidaayat, Hikaayat, Nihaayat Na
Kam Ho Kahin
Oh Ho Ho
Chitthee-chitthee
Hawaaon Se Joh Aayi Hai , Laayi Hai
Kayi Baatein Joh Thi Raaz Si
Laazmi, Ehsaas Hai
Oh Ho
Chitthee-chitthee
Hawaaon Se Joh Aayi Hai, Laayi Hai
Ehsaas Hain Joh Aaj Bhi
Aazmi, Alfaaz Hain
Ummeed Karta Hoon Ki Tumhe
Mere Alfaaz Pasand Aaye Honge
Ummeed Karti Hoon Ki Tumhe
Mere Ehsaas Samajh Aaye Honge
Toh Chalo Iss Khat Ko Yahi
Khatam Karte Hain
Tumhe Agla Khat Bhi
Toh Likhna Hai !